Monday 22 April 2013

Beneficial Wazaif

Rishte ka Anmol Wazifa:

rozana sehar k waqt uth ker 2 rakat namaz-e-tahajjud ada karen har rakat mei Surah fatiha k baad 3 3 bar surah ikhlas parhen aur namaz k baad 70 bar "Yaa Wahabu" parh ker haath phela ker aajizi k saath girya o zaari karen gir gira ker apne gunaahon se maafi maangte hue Allah se apni haajaton ka sawaal karen jab fajar k azaaan sunen to azaan ka jawab den aur laaakhon nekiyan kamayen aur azaan k baad ki dua yaad ho to zaroor parhen


Fajr ki namaz ki sunnaton aur farz k darmyan 41 bar "Yaa Azizu" parhen aur fajr k baad tamam hajaat ko dil mei rakhte hue 500 bar "Yaa Haiyuu Yaa Qaiyuum" parh ker apne maqaasid k liye dua karen

Her namaz k baad 100 bar "Yaa Lateefuu" parh ker Allah k huzoor dua maangen inshallah buhat jald muraad poori hogi

koshish kar k rozana asar se maghrib tak musalle per beth ker "Yaa Allahu Yaa Rehmanu Yaa Raheemuuu" parhti rahen

pooore din mei 1100 bar durood e khizri chalte phirte parhen yeh mai ne crop kar k naye album mei rakha hai aap log check kar lena durood-e-khizri k naam se

phir din bhar mei kissi bhi waqt "SubhanAllahi wabihamdihi " 100 bar parhen

agar diye jaane wale wazaaif zada maloom ho rahe hain to ghar waale aapas mei taqseem karlen agar afraad zada na hon to jitna pabandi k saaath parh sakte hain woh parhen phir yehi hal hai inshallah

Rizk e Halal kamaane ka Wazifa:

Subah tuloo' fajr k waqt 100 bar

"SubhanAllahi wabihamdihi subhan Allahil azeem wabihamdihamdihi wa'atoobu ilaih"

Azaaan-e-fajr aur namaz e farjr k darmiyan khoob ro roo kar apne gunahon se maafi mangen phir duayen mangen

namaz-e-fajr aur tamam namazon k baad 10 bar kalma taiyaba aur 10 bar Yaa Basitu parh ker chehre per dam karen

namaz e fajr k baad 500 baar Yaa haiyuu Yaa qaiyuum parhen

din bhar mei 500 bar durood shareef parhen

ghar mei daakhil hote waqt o alaiqum kahen aik bar durood shareef aur aik bar surah ikhlas parhen

Mumkin ho to zaroor tahajjud ki namaz bhi parhen

ghar se nikalte waqt "Bismillahi tawaqqaltu alallah"

din bhar chalte phirte kam karte wazu bewazu musalsal parhte rahen "Yaa Allahu Yaa Rehmaanu Yaa Raheemu"

Faqr o Faqa se Nijaaat:

"Laa' ilaha ilallahul malikul haqqul mubeen"
baad namaz-e-fajr aur baad namaz-e-asar 100 100 bar parhen

her muraad haasil karne k liye 450 bar
"Hasbunallahu wa ne'mal wakeel"

Baad namaz e fajr aur baad namaz e asar sirf 11 bar
"Fallahu khairun haafizaun wa huwa arhamar rahimeen"

agar diye jaane wale wazaaif zada maloom ho rahe hain to ghar waale aapas mei taqseem karlen agar afraad zada na hon to jitna pabandi k saaath parh sakte hain woh parhen phir yehi hal hai inshallah

akser wazeefe Asma-e-ilaahi k ilawa mai ne album mei share karne ki koshi ki hai koi rehjaye to mujh ko batadijiye ga

Health / Sehat k Wazaif:

Har tarah ki jismaani bimaari k liye

Her namaz k baad 111 bar Yaa Salamuu

fajr ki sunaton aur farz k darmiyan 41 bar surah fatiha aur har namaz k baad 7 bar surah fatiha shareef parhen

din bhar mei 2 bar yaani fajr aur asar ki namaz k baad 100 100 bar "BismillahirRahmaaanirRaheem"

Bukhar ki shiddat mei kami k liye "Bismillahil kabeer" mutaqil parhte rahen

Bukhar k mareez k liye 40 bar surah fatiha parh ker paani per dam karen aur is paani k cheenten chehre per maarne se mareez ko faayeda hoga inshallah

tamam wazeefon k awwal aakhir 3 3 bar durood shareeef laazmi hai

agar diye jaane wale wazaaif zada maloom ho rahe hain to ghar waale aapas mei taqseem karlen agar afraad zada na hon to jitna pabandi k saaath parh sakte hain woh parhen phir yehi hal hai inshallah

Women / Khawateen k Mukhtalif Masaail k hal k liye

hamal ki hifaazat k liye
"Yaa Salamu Yaa mubdiyu"
har namaz k baad 111 bar awwal akhir durood shareef zaroor parhen

Aulaad e narina k liye:
"Yaa Barro Yaa Badi'oo"
har namaz k baad 111 bar awwal akhir durood shareef zaroor parhen

Chehre ki khubsoorti k liye aur aankhon k noor ko salamat rakhne k liye
"Yaa Nooro"
har namaz k baad 33 bar parh ker chehre per haath pheren awwal akhir 3 3 durood shareef zaroor parhen

jism k tamam aaza ki salaamti aur jism k tamam dard aur thakawat ko door karne k liye Har namaz k baad
33 bar SubhanAllah
33 bar Alhumdulillah
34 bar Allahu Akber parhen

phore phansi dard aur soojan se nijaat k liye
Yaa Salaamuu Yaa Qabidu
parh ker dard ya soojan wali jaga per dam karen
awwal akhir 3 3 durood shareef zaroor parhen

Bache ki pedaaish mei asaani k liye:
BismillahirRahmaanirRaheeme Yaa salaamu
pedaish k waqt khatoon k ghar waale 3000 bar parhen inshallah baghair operation k delivery hojaye gi

Yaa Mateeno:

har namaz k bad 10 bar aur khaane per bhi 10 br parh ker dam karen
bacha doodh na peeta ho khana na khata ho sharti ho rota ho

Ya Majeedo:
har namaz k bad 313 bar parhen aur chehre aur jism per haath pheren
(skin)jild ki tamam bimariyon k liye islami maah ki 13 14 15 ko roza rakhen (zilhaj ki 10, 11,12, 13 aur eidul fitr ko roza nahi rakh sakte) iftaar k bad namaz e maghrib se isha tak wird karte rahen aur is wird k waseele se dua maangen

Yaa Mubdiyuu:
Shohar apni zoja k pet per hath rakh ker 99 bar is ism shareef ko parh ker dam kare agar kissi waja se shohar na parh sake to aurat yeh amal khud kare inshallah is k parhne se larka hoga awwal aakhir 3 3 bar durood shareef (pehle din se delivery tak yeh amal karen)

Yaa Nooro:
Shab-e-jumma baad namaz e isha 2 rakat nafil har rakat mei surah fatiha k baad 11 bar surah ikhlas parhen aur is k baad iska wird karen Yaa Nooro 1 hazaar bar parhen tamam jism noor se munawwar hojaye ga inshallah awwal aakhir durood shareef parhen

Miscellaneous Duain